Wheat Jaggery Cake🍰 banane ke liye:
1️⃣ 1 cup gehu ka aata, 1/4 cup makhana powder, 1 tsp baking powder, 1/2 tsp baking soda, aur namak ko mix kar le.
2️⃣ 2 mashed bananas, 1/2 cup jaggery, 1/2 cup milk, aur 1/4 cup oil ko mila kar ache se mix kar le. Dry & wet ingredients ko achese mila le.
3️⃣ Cake pan ko ghee se grease karke 180°C (350°F) par 30-35 minutes tak ya jab tak toothpick saaf nikalne tak, bake kare.
Oven nahi hai? Chinta na kare! Pressure Cooker Method🔥:
1️⃣ Cooker ke dhakan (rubber ring) aur seeti (whistle) ko nikal de.
2️⃣ Ek steel stand ya purani flat base plate, cooker ke andar rakh de. Ye cake ko cooker ke base se direct contact hone se prevent karega.
3️⃣ Cooker ke dhakan ko band karke, dhimi aanch par 10-minutes tak preheat kare.
Cake batter ko cake mold mein daal kar cooker ko gasket ya seeti ke bina band kare. Cake lagbhag 40-50 minutes mein taiyar ho jayega. 30-minutes ke baad toothpick se check kare.
Taiyar cake ko 3 din tak fridge mein band container mein store kare.